Hackers Se Apne Blog Ko Kaise Bachaye

Hello friends,
Yadi aap blogging karte hai to aap blog ke importants ko bahut achhe se jante honge.aur agar aapka blog ko koi hack kar leta hai to usse hone wale nuksan ko bhi aap samjhte hai.Isliye aaj mai is post ke madhym se bataunga ki Hackers se apne blog ko kaise bachaye.

hacker se bachao

Hard password rakhe

Bahut se log hamesha simple password rakhte hai kyuki ise yad karna easy hota hai lekin apko bata du ki istarah ke password ko hacker 5 minutes ke andar hi hack kar sakte hai.isliye hard password ka use kare.password me hamesha numberical(0 se 9 tak ank),alphabetical(A se Z) aur special character(@,% ityadi) hone hi chahiye.password me kam se kam 10 characters hone chahiye.jaise

Example-
hjL532@jk3
aex@@7492jes

Computer me security software ka upyog kare

Apka blog hamesha computer se juda hi rahta hai,isliye jab apka computer safe hoga to blog bhi safe rahega.aur yadi apke computer me hacker dwara koi attack hota hai to wo apke computer me blog ka save password ko nikal sakta hai aur yah cookies ko bhi chura sakta hai jisse apka blog hack ho jayega.
Isliye sabse pahle apko apne computer me antivirus software dalna hoga jisse apka computer safe rahe aur blog ko bhi koi nuksan na ho paye.

Email ki security

Aap jante hi hai ki apka email id blog se link hota hai.aur yadi koi apka email id hack kar leta hai to wo apka blog ko bhi hack kar sakta hai.
Isliye hamesha ek se adhik email id banaye aur ek email ko blog ke liye hi upyog kare aur dusre kamo me dusre email ka upyog kare.jis email id ka upyog blog me kar rahe hai use kisi se share na kare.

Latest version ka upyog kare

Yadi apka blog wordpress me hai to aap wordpress ke latest version use kare. hacker purane version me kuch na kuch kami nikal ke use hack kar sakte hai.isliye ise upgrade karte raye.

Public network se bache

Yadi aap ese internet network(wifi) se connected hai jo free hai aur usme bahut sare log connected hai.aur aap usme apne blog ko chala rahe hai to hacker ise asani se hack kar sakta hai.isliye public wifi network se bache kyuki isme hacker bhi connected rahte hai.

Security tools

jadatar blog wordpress me hi chalta hai to mai apko kuch wordpress security plugins ke bare me bata rha hu jisse aap apne blog ko safe rakh sakte hai.

Acunetix WP security scan- Ise sabse pahle download kare aur apne blog me plugin kare.ise activate karte hi ye blog ko scan karta hai aur ye koi bhi security holes ko check karta hai aur use fix karta hai.

Wordfence- ye plugins wordpress ko hacker aur malware se bachata hai.
Brute force login protection-ye Brute force login attack se bachata hai.brute force login me hacker bar-bar username aur password blog me dalta hai.
Akismet-Yah ek spam filter hai.Yah blog me comments ke jariye ane wale spam ko filter karta hai.
Behtar blogging platform
Agar Security ke najariye se dekha jaye to blogger sabse achha platform hai kyuki ye google ki service hai jisse hack karna itna easy nahi hai.Aur jaha tak wordpress ka bat hai to ye self-hosted hai iski security hame khud karni padta hai.
Previous
Next Post »

Popular Post