Raspberry Pi Zero W Sabse Sasta Computer RS. 750 se lekar 5000 tak

Raspberry The Small personal computer - Built - in Wifi & Bluetooth

Dosto aaj ke post me mai aapko Raspberry Pi Zero W ke baare me bataunga jo ki duniya ka sabse sasta computer hai . aour ye etna chota hai ki aap ese apne jeb me rakh kar kahi bhi le ja sakte hai .
aour wo har kaam kar sakte hai jo ek normol pc se kar sakte hai.

Dosto Raspberry Pi duniya ka sabse sasta aour bahut hi chota computer hai . easme aapko wo sari chije mil jati hai jo aap apne parsnal computar me chahte hai. jaise ki Input/output, Processors, ram , USB port , LAN port , HDMI port ets. aour eski jo kimat hai wo india me RS. 750 Se lekar aapko RS. 5000 tak me mil jayega . 
Imade Credit Bestbuy.com

                                      Dosto aaj ke samay me ek achha smartphone bhi RS. 5000 me nahi mil paata, lekin ye computer aapko 5000 se bhi kam me mil jayega .


Raspberry Pi Zero W eska price kitna hai 
                     Raspberry Pi Zero W bahut hi sasta aour chota computer hai ye bazar me 750 rupye se lekar 5000 rupaye tak me mil jata hai. jo ki aap ke liye bahut hi saata hai.

Raspberry Pi Zero W  esse mai kya kya kar sakta hu .....

  Dosto ye sawal to sabhi ke man me aata hai ki agar mai ese lunga to mai esse kya kaam kar sakta hu kya nahi kar sakta.
                               to mai aapko bata du ki aap esse heavy GAME ( wo game jiske liye grafics cards ki jarurat hoti hai) Nahi chala payenge . baaki wo har kaam jo aap office ke computer pe karte hai ya ,
ghar pe use karte hai wo sab kaam kar sakte hai.
Example - Python me coding ho ya java me coding , ms office me kaam ho ya photoshop me.
Raspberry Pi Zero W
Image credit Amazon.com
. Moto G5 Ka Price Kitna hai jaane ke liye yaha click kare 

Raspberry Pi Zero W kaam kaise karta hai

Raspberry Pi ye Ubunntu, Kali Linux , Windows 10, Android (Oprating System) Par ek normal computer ki tarh hi kaam karta hai.
see chalane ke liye bahut hi kam 5volt ke mobile charger se chlaya ja sakta hai.isme jo Processors hai  wo ARM (Advaned Risc Machines) laga rahta hai.
Dosto ise estemaal karne ke liye sabse pahle aapko esme ek OS dalna hoga , waise esme pahle se inka Default OS milta hai . eske alawa bhi aap chahe to apni marji se OS daal sakte hai .

Ese chalane ke liye kya kya chahiye hota hai ?
 Dosto ese chalane ke liye aapko ,
  1. Bluetooth
  2. Bluetooth Keyboard
  3. Bluetooth Mouse
  4. Display
  5. Aour ek Class 10 ki memory card ki jarurat hoti hai.
Note :- ye  computer un logo ke liye nahi hai jo havay Game khelna chahte hai.
Previous
Next Post »

2 comments

Click here for comments
ravi
admin
13 February 2018 at 06:23 ×

Kaha pey milegi ye computer

Reply
avatar
Raaj
admin
14 February 2018 at 11:25 ×

Amezon flipcart me mil jayegs

Reply
avatar

Popular Post