Raspberry Pi Kya hai aour ye kitne prakar ke hai…
Raspberry pi ek bahut hi chota computer hai jo ki ek ATM Card ke barabar
hota hai par yah wo hare k kaam kar leta hai jo ek Office computer kar sakta
hai..
Eas computer ka upyog abhi tak jyadatar Proggramer ya phir hacker
log karte hai , kyoki ye bahut hi chota hai . aour ese kahi bhi lane lejane me
bahut hi aasani hoti hai.
Raspberry PI UK
ki ek comppny Raspberry Pi foundation ne February 2012 me banai hai. Jo ki ek
bahut hi kam lagat waala ATM size ka computer hai . jo ki ek TV ya Monitor me
pluge karke chalaya ja sakta hai.
Image Credit Bestbuy.com |
Raspberry Pi Kitne prakar ka milta hai….
Raspberry Pi vase to abhi tak eske bahut saare models me aa
chukka hai, yaha par mai aapko uske kuchh models ki jankari dena chahunga .
Raspberry Pi Model A+
Sabse pahle Raspberry Pi A February 2012 me launch kiya gaya tha . fir use kuchh
nay upgred karke Raspberry Pi A+ Launch kiya gaya ,
jo ki bahut hi kam bijli ki aapurti me bhi chalaya ja sakta hai.
Eame Noise Free Audio
Jet laga hua hai jo ki aapko saaf suthra aawj sunne me maddad karta hai .
Eski wajah se aap koi bhi video ya songs ache se sun sakte
hai .
Isme dabakar lagane aour nikalne waala sd card slot laga hua
hai , jo ki bahut hi achha hai isse aapka sd card kharab nahi hoga .
Ise aap badi hi
aasani se Bluetooth keybord aour mouse se jod sakte hai.Eske liye ek Bluetooth
port diya gaya
hai.
Sath hi esme Internet connection port. USB port Adio jack.
Raspberry Pi Model B RASP-PI-3 Motherboard
Dosto Raspberry ki ye ek aour model hai ease Bhi aap PC ki
tarah use kar sakte hai (Agar highe Grafic’S Game ko chhod de to yah ek PC hi hai)
Isme 1.2GHz 64-bit
quad-core ARMv8 CPU, 1 GB RAM hai. Sath hi 802.11n wireless LAN , 10/100 Mbps
Lan Speed Mil jata hai. Bluetooth 4.1, Bluetooth low Energy (eski wajah se ye
aour bhi kam bijli leti hai).
4 USB port hai iski wajah se aap alag alag 4 tarh ke devise
se jod sakte hai ,40 GPIO Pins , Full
HDMI PORT, combined 3.5mm audio jack aour composite video(es karan aap yaha HD
video aour 4K video jo ki ab tak ki sabse high quality video hai chala sakte
hai )
Camera Interface hone ki wajah se aap esme camera bhi chala
sakte hai.
ConversionConversion EmoticonEmoticon