adsense approve kaise kare | adsense approval trick 2018

adsense approve kaise kare | adsense approval trick 2018 ...

dosto aapne adsense approval ke liye bahut se post pde honge bahut se trick apnaye bhi honge , lekin agar aapko is par bhi adsense approval nahi mila hai to aap sahi jagah pe aaye hai . aaj ke is post me mai aapko batane waala hu ki kis tarh se aap adsense approval le sakte hai .

adsense requirements for website.....

  1. aapke blog pe koi bhi copyright content na ho, jaise image ya post iske alawa kai tarh ke site hai jo adsense approve nahi karta jaise gambling hacking adult site.
  2. aapke blog pe kam se kam 10 post 500 word ya isse upar hona chahiye .
  3. aapke blog pe agar kewl image aur video bas hai to aap umid hi na kare adsense ke liye .
  4. kam se kam 5 post google me index hona chaihiye .
note :- sabse jaruri requirement sabhi blogger bolte hai ki traffic jaruri nahi hai , mai apna khud ka experience batau to traffic bahut jaruri hai .

traffic kaisa hona chahiye .....

minimum 2 % to 5% organic traffic , baaki aap direct bhi le sakte hai par fack ya traffic generator site traffic exchange site se na ho . meri mane to social site se ho ya organic ho to jyada behtar hai .
minimum traffic 100 ya usse upar hona chahiye ..

adsense hosted vs non hosted .....

hosted account baut hi jald approve ho jata hai . 
par non hosted ke approval ke liye tab tak request na kare jab tak aapke blog me traffic achchha na aane lage .
non hosted :- tab tak approve nahi hoga jab tak badiya traffic nahi aa jata .
hosted :- 10 se 15 post me mil jaayega lekin eske baad bhi bahut logo ko ye problem aata hai ki ad show nahi ho raha .
karan :- karan yahi hota hai jab tak adsense ke ad pe impression nahi padega aapka ad show nahi ho payega ...
  
dosto ye post likhne ka baad bhi mujhe lag raha ki kuchh adura hai , jo adura hai wo pura hoga aapke saval aur uske jawab ke baad .. dosto ye koi trick nahi balki mera khud ka experience mai bataya hu .

agar aapke kuchh saval ho to aap mujhe comment me ya whatsapp pe bhi puchh sakte hai. 
Whatsapp group link  click
Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
MRIDUL
admin
26 April 2018 at 12:46 ×

www.onlineinfo.gq pls dekh lijie kio adsense aprove nahi hua he

Congrats bro MRIDUL you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar

Popular Post